احمد فراز
Ahmad Faraz احمد فرازشاعری
Ahmad Faraz is one of the best poets pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetries of ahmad faraz.
Top 10 Ghazals of Ahmad Faraz
1
Ab kya sochen kya halaat the kis kaaran yeh zehr piya hai,
Ham ne us ke sheher ko choda aur ankhon ko moond liya hai,
Apna yeh sheva to nahin tha apne gham auron ko saumpein,
Khud to jaagte ya sote hain us ko kyun be-khawb kiya hai,
Khilqat ki awaazain bhi thi band us ke darvaaze bhi they,
Taaza rifaaqat ke mausam tak main bhi jiya hoon woh bhi jiya hai,
Ek Faraz tumhin tanhaa ho jab tak dukh ke rasiyaa ho,
Warna aksar dil walon ne dard ka raasta chorr diya hai
2
Aasshiqi me “mir” jaise khawb mat dekha karo,
Baavle ho jaaoge mahtaab mat dekha karo,
Jasta jasta parh liya karna mazaamin-e-vafaa,
Par kitaab-e-ishq kaa har baab mat dekha karo,
Is tamaashe me ulat jaati hain aksar kashtiyan,
Doobne waalon ko zair-e-aab mat dekha karo,
Mai-kade me kya takaluf mai-kashii me kya hijaab,
Bazm-e-saaqi me adab adaab mat dekha karo,
Maange maange ki qabaayen dair tak rehti nahin,
Yaar logon ke laqab laqaab mat dekha karo,
Tishnagi me lab bhigo lena bhi kaafi hai Faraz,
Jaam me sahbaa hai ya zahraab mat dekha karo..
3
Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate,
Warna itne to marasim they ke aate jaate,
Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha,
Apne hisse ki koi shamma jalaate jaate,
Kitna asaan tha tere hijr main marna jaana,
Phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate,
Jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi,
Pa-bajolaan hi sahi naachte gaate aate,
Us ki woh jaane usse paas-e-wafa tha ke na tha,
Tum Faraz apni tarf se to nibhaate jaate..
4
Tera qurb hai na baada* hai, kya kiya jaaye,
Phir aaj dukh bhi zeyadaa hai, kya kiya jaaye,
Kuch apne dost bhi turkish-badosh phirte hain,
Kuch apna dil bhi kushaada hai, kya kiya jaaye,
Na un se tark-e-taluq ki baat kar paayen,
Na humdumi ka iraada hai, kya kiya jaaye,
Woh meherbaan hai, magar dil ki hirss* bhi kam to ho,
Talab karam se zeyada hai, kya kiya jaaye,
Humain bhi arz-e-tamanna ka dhangg nahin aata,
Mizaaj-e-yaar bhi saada hai, kya kiya jaaye,
Salook-e-yaar se dil doobne laga hai Faraz,
Magar yeh mehfil-e-aaada hai, kya kiya jaaye..
5
Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaanan,
Yaad kya tujh ko dilaayen tera paimaan jaanan,
Yoon hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai,
Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanan,
Zindagi teri ataa thi, so tere naam ki hai,
Hum ne jese bhi bassar ki tera ehsaan jaanan,
Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi,
Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaanan,
Awal awal ki mohabbat ke nashe yaad to kar,
Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanan,
Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahin,
Rag-e-beena sulagg uthi hai rag-e-jaan jaanan,
Muddaton se yeh aalam na tawaqoh na umeed,
Dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaanan,
Hum bhi kya saada they hum ne bhi samajh rakha tha,
Gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaanan jaanan,
Ab tera naam bhi shayed hi ghazal mein aaye,
Aur se aur huye dard ke unwaan jaanan,
Hum ke roothi hui rut ko bhi manaa lete they,
Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaanan,
Hosh aaya to sabhi khawb they raiza raiza,
Jese urrte huye auraaq-e-pareshaan jaanan..
6
Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee,
Sehraa ki tishnagi thi sau daryaa sharaab pee,
Tu sath jo nahin hai to kya gulistan ki sair,
Tu hum’saboon nahin hai to phir kya sharab pee,
Kal aik bazurg dost ne yeh mashwraa diya,
Tera nahin ilaaj koi ja sharaab pee..
7
Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…
تبصرے
ایک تبصرہ شائع کریں